World Wide Web | Deep Web | Dark Web | How It Works - News360

Breaking

Home Top Ad

amazon

Tuesday, July 23, 2019

World Wide Web | Deep Web | Dark Web | How It Works

 World Wide Web | Deep Web | Dark Web | How It  Works:



Internet do type ka hota hai jisko normally log jante hai or daily use karte hai or dusra hota hai DARK WEB jo hackers use karte hai.
Jo internet hum log access karte hai wo teen hisso me divided hai jisme se pahla hai surface web jo sirf 4% hai pure internet ka dusra hota hai DEEP WEB or teesra hota hai DARK WEB, or dark web ko hum normally access nhi kar sakte or na hi logo ko iske bare me koi jankari hoti hai.

Surface web:
Ise samjhne ka asaan tarika ye hai ki jo chize hum access kar sakte hai google,yahoo,bing me ya fir maniye hame koi web site visit karni  hai to hum usko google me search karege or us ka link hamare samne aa jayega or hum usko visit kar payege.Internet alag-alag type ki websites ka bhandar hai in websites ko hum tabhi visit karte hai hame kahi pata chale ki  us particular website pe kya milta hai ya uska content kya hai or yhi kam google krata hai. Hum jo bai cihz google pe search karte hai wo hamare samne usse related websites ki list nikal ke hame de deta hai iso hi surface web kahte hai Jo ki hum directly search ingine me search karke visit kar sakte hai.

Deep Web:
deep web esi inks ya web sites hoti hai jo secure ki vajeh se normally logo ko nhi  pata hoti hai jese ki millitry site ya fir banking se related sites ya hamri koi site hai or hum nhi chahte ki sab log usko visit na kare to hum google ko mana kar dege ki hamari site ko index hi na kiya jaye taki koi usko na dekh paye ya fir dekhe to hamari permission se hi dekhe ya fir hum jin logo ko uska link denge vhi log usko dekh paye. Isko ko Deep Web kahte hai.

Dark Web:

Teesra or Last hota hai DARK WEB jise access karne ko normally log mana  karte hai. Ab sawal ye uthta hai ki ye dark web hota kya hai or isko hum kese access kar sakte hai.Normally dark web ko hum apne browser ya ISP se access nhi kar sakte.Isko access karne ke liye hamare pas jo internet connection hota hai wo kam nhi karta na hi wo browser jo ki normally sab internet access karne ke liye use karte hai.Matlab  ye hai ki hum normal way me use kar hi nhi sakte.Iske liye hame Alag browser ki zarurat padti hai.
Dark web ko access karne tarika bilkul hi alag hai.Hum keh sakte hai ki jo internet hum use karte hai wahi isme bhi use hoga lekin bilkul alag tarike se iske liye kisi ko na to koi alag line bichhane ki zarurat hai na hi naye sim ki  na hi alag ISP, ya fir kisi alag tareh ke internet connection ki. Isme wahi sab chize use hoti hai jo hum normally internet ko access karne ke liye karte hai.Jo  net hum use karte hai usi ko use karke kuch technological tarike se,alag algorythem use karke encryption se,ONION routing se esi websites tak pahucha ja sakta hai.To ye jo websites hoti hai ye google me nhi milti na hi hum google ya dusre search me type karke search kar sakte hai.In websites ko DARK WEB kaha jata hai.

Isko hum ese samjh sakte hai ki jese koi bada sa pahad (mountain) ya fir koi iceberg hai jise agar hum dekhte hai to hame wo bahut hi bada lagta hai lekin  darasal hum uska bhut thoda sa hi hissa dekh pate hai jabki wo pani me bhut andar tak hota hai or bhut hi bada hota hai.Jese ki niche di gayi is image dikhayi de rha hai.

Image N. 1

Is image ko dekh kar ye nhi kha ja sakta ki ye iceberg kitna bada hai.Isme jo upar ka hissa hai use hum surface web ya public web keh sakte hai.

 Image No.


Is image ko dekh kar samjha ja sakta hai ki hum net kitna use  kar pate hai or kitna jante hai.



No comments:

Post a Comment

Amazon

Pages