What is SEO? Black Hat SEO? - News360

Breaking

Home Top Ad

amazon

Tuesday, July 23, 2019

What is SEO? Black Hat SEO?

What is SEO? Black Hat SEO? Search Engine Optimization Explained:



Hum sabhi alag -alag search engine kam me lete hai or inme google duniya ka sabse bada search engine hai. but what is search engine optimization (SEO) . 

Agar hamari koi website h ya koi youtube channel ya fir koi blog h to agar hum chahte hai ki vo google ke pahle page par search hoker aye to isi ko SEO kahte hai, matlab agar hmne koi post likhi hai ya koi hamara koi content hai jo search hoker nhi aa rha h to usko search me lane ka jo process h usko hi seo kahte hai.  



What Is SEO

Agar hmare  pas koi achhi website hai to hum usko logo tak kaise pahuchayege isi ko Search Engine Optimization kahte hai. 

Aj hum sabhi puri tareh se internet par depend hai, hame jo bhi jankari chahiye wo hum internet par search karte hai or google hame wahi chiz search kar ke de deta hai.

Aksar hum log google par bhut sari chize search krte hai lekin hum phle ya dusre page se zyada age nhi dekhte h na hi isse age ke page pe koi jata h.

To isiliye jo website owners hai  ya jinka youtube channel  hai ya koi blog hai to vo log ye chahte hai ki unki website, channel ya fir blog search engine ke pahle ya dusre page par search hakar ane  lage taki us par zyada se zyada log aye or unki website,channel ya blog ko dekhe or wo rank kar sake. 

Lekin compitition bhut zyada hai to jo website pahle se search engine  pe rank hai wo pahle search hoker ati hai or un par users bhut zyada hote hai or traffic bhi bhut zyada hota h.























Ab itne tough compitition me hum top twenty ya fir top ten me kese pahuch paye to iske liye jo  technics use hoti hai usko hi SEO ya Search Engine Optimization kahte hai. 


Ab agar hame google par apni koi site rank karani hai to ye bhut hi mushkil hai  kyoki google kabi bhi kisi nayi website ko upar nhi lata  wo apne users ko best sites search kar ke deta hai jo phle  se rank hoti hai kyoki ki un par achha content hota hai.

Google ka apna algorythem system hai vo usi ke according sabse achha content search karke pahle page pe show  karta hai.

Lekin  agar hum usi k hisab se apne content ko tyar karte hai to vo search engine par pahle show hone lagta hai or hamari website par traffic ane ke chances badh jate hai.

Agar hum apne content ko search engine ke  hisab se optimise karte hai ya uske algorythem ke hisab tayarr karte hai to isko SEO kaha jaega or agar hum ye sab kar lete hai to hamari website,channel ya fir blog ko achhi ranking milana koi badi bat nhi hai. 



Meta Data


SEO ke liye meta data bhut hi zaruri hai jo ki content ke seo ke liye tayar kiya jata hai taki content ko search me laya ja sake or isi se search ko malum padta hai ki content kis bare hai. 

Agar Humne apne conent ka title achha rakha hai,description achha,meta tags achhe hai to google ki algorethem usko read krke us content ko search me uper lana shuru kar deti hai. iske  liye hame content ko unique banana padta hai.

Read More



No comments:

Post a Comment

Amazon

Pages